TAAL TOU BHOPAL TAAL

Thursday, September 4, 2008

Hear ye, Hear Ye...

Here is the BLOG, No kidding !

I'd like to invite all of you to scribe, Ink or paint anything here, i,e anything including profanity, verbal abuse and of course Burayee , our favorite pastime !

this works pretty much like the Dotboard, I still remember the fun we all had !

Please Do me one favor, To opine is to be human, and to be human also means that you RESPECT the views of others, and also I request everybody to please give a MARGIN of error to Nasir Kamal, Age, mental trauma, aur inn sub se ziada "JHUNJHLAHAT" , Kdoorat, kabeeda Khatiri (its OK to add a PUN ! ) kis kis ka Ilaj karwa sakte hain bechare ? aik dukh ho tou keh bhi den, yahan tou ROG hi ROG and on top of that, DIL JALE LOG ! au yeah JOG !

So write and invite everybody who has anything to do with Bhopal !!

Lekin iska matlab yeah nahin ke agar aap ki train bhopal station ke qareeb se bhi guzri hai tou aap ko BHOPALI honay ka SHARF hasil hai, kuch Taaluq zaroori hai, jaisa humara hai ! iske alwa ke hum NAJEEB-UT-TARAFAIN bhopali hain, humari bhopal se pehchan aur taaluq ki ASAL wajah hain Nasir mian , aur Nasir mian ko poora bhopal Janta hai, kam az kam Moti masjid ke south aur north ke 3 padosi, nasir mian ko bohut achi tarha jante hain. Kabeet wali masjid tak Nasir mian ka jana nahin hua, hamesha moti masjid se right Turn karte huay nikal jaate thay , ke kahin Akhtar Bhasi se samna na ho jaye, 24 baras Nasir kamal Akhtar Bhai ke Maqroorz rahay, aakhir Akhtar Bhai ko taras aagaya aur woh iss Jahan faani se kooch kar gaye !! tub se suna hai Nasir Kamal Moti masjid se LEFT turn bhi karnay lagay hain, wallah aalam

Salman

6 comments:

  1. Sab ki khidmat mei adaab bajja lana hamara behtareen mashgala hai. Logon ko aksar ye shikaayat rehti hai ke Aji yeh sahab kabhi jawab nahin dete..bajja irashaad..yeh hum ne apna mamu huzoor se seekha hai. Jab dil chahtaa hai jabhi correspondence kartay hein..

    Issay kiya Bhopali panna kehte hein?Waisay hum apnay aap ko Bhopali girdanaian ke nahin yeh aap buzurgon pe chora..dekhain kis mei kitna hai dum?

    Omar

    ReplyDelete
  2. Oh great! This blog seems to be entirely dedicated to Nasir Kamaal! Ab hum ko apna zati blog likhne ki zarrorat naheen rahi! Salman miyan jo baithe hain! Inko hamari history aur beemariyan sab maloom hain, because he is more concerned about others then himself. (this may be an ailment itself!) lekin aap mareez ko uska marz bata kar usko dehshat-zada naheen karsakte. Lihaza parrhte rahiye kya kya gul-afshaniyan hamare baare main is blog main likhi jati hain. Hum ko to ab kuchh likhne ki zarrorat naheen rahi. Allah salamat rakhe Salman miyan ko!

    ReplyDelete
  3. Salman miyan, bachchay toh dono barabar ke ziddi nikle: Agar ek aaj bhi kechve ki talash main rehta hai toh doosra aaj bhi ungliyan chatkhata hai. Aur phir type karte waqt ya scooter drive karte waqt dard se karahta hai. Aur baji? woh aaj bhi tarah-tarah ke bachchon ko "averay" (sametay) bhathi rehti hain. Kuchh toh umr main un say baday hain jo unko Ammi kehte hain. Allah umr daraz karay

    ReplyDelete
  4. janab apnay jolikha woh sabkay dimagh kay nonworking atena mainlife daldaiyga , log upni yadonko sanjo kay to rakhlaiytay hain magar unkoistarha say biyan karna aur phir usmain hur kari ko uskay jaiz muqam pur motiki tarha pirona --wah bhai wah jis kay is chotay say magar unmeasured strenth walay sar kay under kay hissay main koi hal chal nahoti ho woh bhi tarapkay bakhuda tarap kay kay hurkat main ajaiay soihuayay is hissay ko jisko dimagh kehtay hain apnay ai, dam say harkat main la diya aur jis kisi ka aik dusray say jo bhi rishta hay chacha baba ,mamo , phupi kay pilla pilli uchchi ya buri , talkh ya mthi yadon ka us daur ki aur un buzurgon ki mohabbat aur khuloos say jo bhi wabasta hay woh sub kuch usko yad agaya hoga ,koi agar yeh kehday kay in yadon kay jag janay kay bad roya na ho ya kum say kum ankhon main ansoo na agayaay hon to jhoota ,ap ki yaddasht kay hum qayal thay pehlay say aur andazaybiyn kay baray main to ya bhai pehli hi likh chukay hain(-unbleivable strenth) that I say,apnay baji kay baraiy main khoob aur khoob ikha hay magar maira manna hay jo koi bhi jitna bhi likhsakta hay likhay but its my chalange can not compete that ocens of love and effection character because -------- all pages are les to write and all hands are unable to complete nd there is not so much ink in the world to -and its chalenge no can say that I completely know her,rano aray yar woh to -agar rano na ho to aurat kaya hay duniya main koi na janay,gundi kis nay kaha bhai sahi kaha agur gundi na ho to phir rano naho,yrhi to khoobi hsy jisay ap gundi kehtay ho wohi achchai hay uski mairay khiyal main agur humsay rano kahay humsay kaya kisis say bhi rano kahay ayay baithiyay janab ji janab ap janab to hum to sharam say marjain kay bhala jab rano hum ko gali na day ya to tarakh na karay to bhala hum ko duniya main rehnay ka huq kaisay hay jab rano hum ko na janay aur ap janab aur achchay achchay alqab istaiymal kuray to she is true critic of good and bad ba khuda ussay uchcha buray bhalay ko koi nahi samajh sakta na biyan karsakta ,yaro yeh sab main ussay bhut mukhatsir mukhtasir do teen ya char mulaqaton kay bad hi samajh gaya tha kay woh mohaabbat aur safgo ka zakheera hay koi manay ya manay mairi biwi say poochlay main 1984 main ussay kehchuka tha kay rano say ziyada complete aurat duniya main mujh ko nahi mili jo dimagh aurton ka nahi bulkay insan say oopar koi mukhlooq ka rukhti hay, na janay kyon hamain yeh lagata hay kay hussain arab sahab aur saida begum sahiba ki auladon main sabsay ziyada maohabbat agar kisis kay dil main hay to woh rano hay uski zaban par najana bhai yehi to iska(feature in the cap) hay.
    bharhal salman miyan ap bura na manain hum apkay likhnay par aur apkay blog par tazkira rano the ----------------- ka karnay baith gayay sorryapnay khoob likha aur logon ko jagaya sotay main bulkay yaqeenan kyee murda jin ka is kunbay say talluq hay tarap kar baith gayay hongay aik dam say wabal machgaya wah bhai wah.
    han bhai ammo yeh kaya hum to hain tumharay sath tum haraysath khailo in budhdhon ki baton ka dhiyan na do aur kon tum say tasdeq mangta hay himmat nahi hay kisi ki ap ko bhopali na kehnay ki ap main sab gunr hain bhopali kay aur phir baqol apkay mama kay najeebuttarfain bhopali ho bhai vhalo apan to khailain kyon kay abhi hum bhi khailnay koodnay par hi yaqeen rakhtay hain

    ReplyDelete
  5. Salman miyan hum to jahil admi hain kaheen say kaheen pohuch jatay hain ,khair apay abhi is wakht sirf yeh kehnay baithay hain kay aj bhut gurmihay 44 cel namaz kay bad khna kjhakur bahur nukalnay ki himmat na hoi to ap ko likhnay baith gayay ,koi etairaz to nahi

    ReplyDelete
  6. theek hay koi atairaz nahi to suniyay apnay likha hay karanj to there is another tree with this nam in Indian forests, another objection no not objection but some thing for ur knowledge is that that seeds of kunji are used to abstract oil , and oil is used to greasing the wheels of bullock -cart, (and also of men)but as u written that for igniting the lanterns here u r wrong, diya jalatay hain kurway tail ka jis ko asubh mantay hain , in hndustaniyon kay yahan puranay daur main gaon main kisis kay yahan mot hoti to kurway tail (yani kay kunji kay tail)kay diyay jalaiy jatay thay,most important use of that oil is its used to kill the germs if there is any wound to animal (kuch insano ko bhi) to kurwa tail lagadiya jata zakhum thek hojata hay , mawaishiyon kay khas kur barish main zakhum main keeray (illy) purjatay hain toa is ko lagaya jata hay kisi bhi jagah keeray parain insan kay ya janwar kay its usefull(ab rani ki gali keeray parain falan falan jagah say nahi durna) aur isko lukri pur lagaya jata hay jissay ki woh seasoned(baighirut)ho jati hay deemuk wagairah nahi lugti aur tirti nahi hay ,jaisay kay kunji phornay say usmain khailnay say haton main lainay say ap aur seasoned ho gayay hain aur hum baighairut jo hur aik ko sahan kurlaitay hain waisay hamaray munnay miyan seedhay aur actualy shareef admi hain unko ap hur kuch kehtay ho yeh nahi samajhna kay kay kurway tail ka asar hay -- rano kay baray main one more thing raat ko some one is calling

    ReplyDelete